dil ko ummid-e-bala-e-na-gahan hai aaj-kal sun raha hun mahw-e-gardish aasman hai aaj kal kyon tujhe ai dil talash-e-karwan hai aaj-kal chal tan-e-tanha ki waqt-e-imtihan hai aaj-kal baghban bhi khub kahta hai chaman ko laut kar nam us ka hi bahaar-e-jawedan hai aaj-kal khar aur ruswa phira karte the hum kuchh din hue aah kyunkar nek-nami ka guman hai aaj-kal lut chuki hai jis gulistan ki mataa-e-rang-o-bu mujh pe us ka pasban kuchh mehrban hai aaj-kal ek dil tuta hua le kar hai sargardan 'nadim' ek jam-e-mai sharik-e-dostan hai aaj-kal