ghar ke barbaad sahi ruh ke aabaad hain hum ye khabar kis ne udai hai ki nashad hain hum apne mitne ka koi gham na karo ham-nafasan ek na ek shakl mein duniya ko abhi yaad hain hum apne afsanon ke unwan judagana hain ek nae daur ke mansur hain farhad hain hum pesh-e-bedad-o-sitam sar na hue kham apne go ki auron ki tarah kushta-e-bedad hain hum hum ne taswir jo farda ki banana chahi log kahte hain faqat haal ke naqqad hain hum