dil ko zar se na toliye sahab hum faqiron se boliye sahab apna jaisa sabhi ko paenge dil ka darwaza kholiye sahab ab to badlen ki din badalte hain ahd-e-mazi ko ro liye sahab un ke dast-e-hinai ki khatir hath khun mein dubo liye sahab jo bhi hans ke mila mohabbat se dil se us ke hi ho liye sahab in gulabon mein rang bharne ko khud hi kante chubho liye sahab itna roe hain ahd-e-mazi ko dil ke sab dagh dho liye sahab ab to uthiye ki din nikalta hai raat bhar khub so liye sahab aap apne mafad ki khatir bij nafrat ke bo liye sahab sari khushiyan hain dil mein 'sailani' apne dil ko tatoliye sahab