hai iztirab dil mein to dil iztirab mein dala hai tum ne mujh ko ajab pech-o-tab mein dhundenge ek din mujhe khud jalwa-ha-e-husn dekhunga main rahenge wo kab tak hijab mein ek husn-e-barq-pash ki din raat hai talash apni qaza ko dhund raha hun shabab mein hum ne junun ko aql kaha aql ko junun kya nukta-ras tha ishq hamara shabab mein ajza yahi hain nuskha-e-ab-e-hayat ke kuchh masti-e-nigah mila do sharab mein phir ho rahi hai pursish-e-amal roz-e-hashr yarab saza-e-maut gai kis hisab mein gesu daraaz mast nazar chehra aaftab ab kuchh kami nahin hai tumhaare shabab mein khat mein khari khari bhi sunai hain kuchh unhen matlab ye hai karen na tawaqquf jawab mein duniya-e-aql-o-hosh mein 'sahir' kise nasib wo kaif-e-be-khudi jo hai bazm-e-sharab mein