dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin kar-e-duniya ka nahin aur tumhaara bhi nahin hum kisi samt chalen rah lagen kho jaen rah-e-gum-gashta hain so aisa ishaara bhi nahin hum ko to wasl ke qabil nahin jaana tum ne hum chale jaen kahin tum ko gawara bhi nahin na-rasai ne ajab taur sikhae hain 'ata' yani bhule bhi nahin tum ko pukara bhi nahin