main sochta to hun lekin ye baat kis se kahun wo aaine mein jo utre to main sanwar jaun khud apne aap se wahshat si ho rahi hai mujhe bichhad ke tujh se main ek mustaqil azab mein hun har ek lamha bhanwar hai har ek pal tufan kahan tak aur main sahil ki justuju mein badhun mere wajud ne kya kya libas badle hain kahin charagh kahin raste ka patthar hun hawa ke dosh pe hun misl-e-barg-e-awara ab aur kya kahun 'anjum' mein apna haal-e-zabun