dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu hun

dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu hun
samjho mere ishaare main surma-dar-gulu hun

muddat se kho gaya hun sargarm-e-justuju hun
apna hi muddaa hun apni hi aarzu hun

surat-e-sawal hun main puchho na mera matlab
main apne muddaa ki taswir hu-ba-hu hun

hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu
risti hui surahi tuta hua subu hun

zakhmon se dil ka aalam kya puchhte ho kya hai
gulzar-e-be-khizan hun duniya-e-rang-o-bu hun

jalwe hijab-afgan aankhen halak-hasrat
to mahw-e-parda-dari mein waqf-e-justuju hun

pamal yun hua hun pinhan hai mujh mein aalam
ek musht-e-khak ho kar sahra-e-arzu hun

rukh se kafan hata do kya puchhte hain puchhen
parde mein khamushi ke sargarm-e-guftugu hun

kis se 'aziz' rakkhun ummid dosti ki
sarkash hai nafs jab tak apna hi main adu hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close