duniya ko walwala dil-e-nashad se hua ye tul us khilasa-e-ijad se hua fasl-e-junun mein sina-o-nakhun ko mere dekh kya be-sutun pe tesha-farhad se hua rahmat ne badh ke sard jahannam ko kar diya kaisa qusur ye dil-e-nashad se hua khush hun main waqt-e-naza khusha lazzat-e-faragh jo kuchh hua wo aap ke irshad se hua ye hai haqiqat-e-adam-o-alam-e-wajud wo khamushi se ye meri fariyaad se hua na-waqif-e-rusum mohabbat hai koi chiz insan 'aziz' shewa-e-faryaad se hua