dil kya kisi ki baat se andar se kat gaya titli ka rabta kyun gul-e-tar se kat gaya do-chaar gam ka hi safar rah gaya tha bas is waqt mera qafila rahbar se kat gaya mausam ke sard-o-garm ka jal par asar na tha wo sang-dil bhi sher-e-sukhnawar se kat gaya saf mein mukhalifon ki main samjha tha ghair hain dekha jo apne logon ko andar se kat gaya khairaat khub karta hai jab log sath hon tanha hai wo abhi to gadagar se kat gaya jab tak uruj tha to zamane mein dhum thi jun hi zawal aaya wo manzar se kat gaya