is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin aur zer-e-saeban main bhi nahin tu bhi nahin zahr mein dubi hui parchhaiyon ka raqs hai khud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin zard lafzon ke dhundalke sham ki aankhon mein hain garche zeb-e-dastan main bhi nahin tu bhi nahin na-tawan jismon pe kyun hai gardishon ka mor-nach shab-gazida aasman main bhi nahin tu bhi nahin be-asar ho jae jis se dil ka zakhm-e-atishin marham-e-wahm-o-guman main bhi nahin tu bhi nahin shab ki gahri khamushi bhi gosh-bar-awaz hai aahaton ka karwan main bhi nahin tu bhi nahin ehtiyaton ki guzargahen to pichhe rah gain ab sada-e-mehrban main bhi nahin tu bhi nahin