dil laga lete hain ahl-e-dil watan koi bhi ho phul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho surat-e-haalat hi par baat karni hai agar phir mukhatab ho koi bhi anjuman koi bhi ho hai wahi la-hasili dast-e-hunar ki muntazir aakhirash sar phodta hai kohkan koi bhi ho shaeri mein aaj bhi milta hai 'nasir' ka nishan dhundte hain hum use bazm-e-sukhan koi bhi ho aadaten aur hajaten 'basir' badalti hain kahan raqs bin rahta nahin taus ban koi bhi ho