aage aage shar phailata jata hun pichhe pichhe apni khair manata hun patthar ki surat be-his ho jata hun kaisi kaisi choten sahta rahta hun aakhir ab tak kyun na tumhein aaya main nazar jaane kahan kahan to dekha jata hun sanson ke aane jaane se lagta hai ek pal jita hun to ek pal marta hun dariya baalu moram dho kar lata hai main us ka sab mal uda le aata hun ab to main hathon mein patthar le kar bhi aaine ka samna karte darta hun