dil-lagi ghairon se be-ja hai meri jaan chhod de man kahna tere sadqe tere qurban chhod de aashiq-e-jaan-baz kyunkar ku-e-jaanan chhod de apna aa ghar kis tarah sher-e-niystan chhod de ye nahin kahta ki sayyaad ab mujhe aazad kar do ghadi ko bahr-e-gul-gasht-e-gulistan chhod de kaun kafir phir kare sajda khuda ke samne kah to baithe mujh se wo but apna iman chhod de tang hun diq hun koi dam mein nikal jaega dam chhod de dast-e-junun mera gareban chhod de ghair-mumkin hai jo bhulun ghar tera ai rashk-e-hur mujh ko jannat mein agar le ja ke rizwan chhod de ghamza-e-beja nahin uthte phunka jata hai dil garmiyan apni tu ai mehr-e-darakhshan chhod de phir phansun main dam-e-gesu mein to kafir jaaniyo chhod de lillah ab o na-musalman chhod de ho na raaz-e-ishq ifsha aabru-rezi na ho phut bahna tu agar ai chashm-e-giryan chhod de tauq phenkenge gale mein misl-e-qumri saikdon nazuki raftar o sarw-e-khiraman chhod de husn ka juya hun muddat se main diwana-mizaj mujh ko pariyon ke akhade mein sulaiman chhod de yun bhulai dil se yaad-e-mushaf-e-rukhsar 'rind' hifz kar ke jis tarah se koi quran chhod de