zalzale ka khauf tari hai dar-o-diwar par jabki main baitha hua hun kanpte minar par han isi raste mein hai shahr-e-nigar-e-arzu aap chalte jaiye mere lahu ki dhaar par phir uda lai hawa mujh ko jalane ke liye zard patte chand sukhi tahniyan do-chaar par tair-e-takhil ka sara badan aazad hai sirf ek patthar pada hai shisha-e-minqar par waqt ka dariya to in aankhon se takraata raha apne hisse mein na aaya lamha-e-didar par sara pani chhagalon se aablon mein aa gaya chilchilati dhup ke jalte hue israr par