dil le ke hasinon ne ye dastur nikala dil jis ka liya us ko bahut dur nikala zahid ko kisi aur ki baaten nahin aatin aaya to wahi tazkira-e-hur nikala dushman ko ayaadat ke liye yar ne bheja achchha ye ilaj-e-dil-e-ranjur nikala ai tir-e-sitam chal teri dawat hai mere ghar zakhm-e-dil-e-nashad ne ankur nikala wo tazkira-e-ghair pe jhunjhla ke ye bole phir aap ne 'muztar' wahi mazkur nikala