kisi ne rakkha hai bazar mein saja ke mujhe koi kharid le qimat meri chuka ke mujhe usi ki yaad ke bartan banae jata hun wahi jo chhod gaya chaak par ghuma ke mujhe hai mere lafzon ko mujh se munasibat kitni main kaisa naghma hun pahchan gunguna ke mujhe main aisi shakh hun jis par na phul-patte hain tu dekh leta kabhi kash muskura ke mujhe kadi hai dhup to suraj se kya gila kije yahan to chand bhi pesh aaya tamtama ke mujhe use bhi waqt kabhi aaina dikhaega wo aaj khush hai bahut aaina dikha ke mujhe qaside padhta hun main us ki dil-nawazi ke jalil karta hai aksar jo ghar bula ke mujhe