dil liya jis ne bewafai ki rasm hai kya ye dilrubai ki tazkira sulah-e-ghair ka na karo baat achchhi nahin ladai ki tum ko andesha-e-giraftari yan tawaqqo nahin rihai ki wasl mein kis tarah hun shadi-e-marg mujh ko taqat nahin judai ki dil na dene ka hum ko dawa hai kis ko hai laf dilrubai ki ek din tere ghar mein aana hai bakht o tale ne gar rasai ki dil lagaya to nasehon ko kya baat jo apne ji mein aai ki 'shefta' wo ki jis ne sari umr din-dari o parsai ki aakhir-e-kar mai-parast hua shan hai us ki kibriyai ki