dil mange hai mausam phir ummidon ka chaar taraf sangit racha ho jharnon ka hum ne bhi taklif uthai hai aakhir aap bura kyun manen sachchi baaton ka jaane ab kyun dil ka panchhi hai gum-sum jab pedon par shor macha hai chidiyon ka raat gae tak rah wo meri dekhega mujh par hai ek khauf sa tari rahon ka mere mathe par kuchh lamhe utre the ab bhi yaad hai zaiqa us ke honton ka pure chand ki raat magar khamoshi hai mausam to hai bhigi bhigi baaton ka