dil mat tapak nazar se ki paya na jaega jun ashk phir zamin se uthaya na jaega rukhsat hai baghban ki tanik dekh len chaman jate hain wan jahan se phir aaya na jaega aane se fauj-e-khat ke na ho dil ko mukhlisi bandhua hai zulf ka ye chhutaya na jaega pahunchenge us chaman mein na hum dad ko kabhu jun gul ye chaak-e-jeb silaya na jaega tegh-e-jafa-e-yar se dil sar na pheriyo phir munh wafa ko hum se dikhaya na jaega aawega wo chaman mein na ai abr jab talak pani gulon ke munh mein chuwaya na jaega ammame ko utar ke padhiyo namaz shaikh sajde se warna sar ko uthaya na jaega zahid gile se maston ke baz aane ka nahin ta mai-kade mein la ke chhakaya na jaega zalim na main kaha tha ki is khun se darguzar 'sauda' ka qatl hai ye chhupaya na jaega daman-o-dagh-e-tegh ko dhoya to kya hua aalam ke dil se dagh dhulaya na jaega