jismon ki chadhti dhup ka jab qahr utar gaya ek shoala dubne ko sar-e-nahr utar gaya phir yaad aa gai hai tere aansuon ki sham phir aaj zer-e-ab koi shahr utar gaya ab das raha hai mujh ko mera khokhla badan sawan ki bijliyon se mera zahr utar gaya hum mauj-e-tah-nashin the tujhe chhu nahin sake tu barg-e-sath-e-ab tha har lahar utar gaya ab ru-kash-e-jamal 'musawwir' nahin koi chehra-ba-chehra aks-e-rukh-e-dahr utar gaya