dil mein bikhre hue jalon se pareshan na ho

dil mein bikhre hue jalon se pareshan na ho
mere guzre hue salon se pareshan na ho

meri aawaz ki talkhi ko gawara kar le
mere gustakh sawalon se pareshan na ho

main ne mana teri aankhen nahin khulti hain magar
din nikalne de ujalon se pareshan na ho

apni zulfon mein utarti hui chandi ko chhupa
mere bikhre hue baalon se pareshan na ho

ai nai dost main bharpur hua hun tera
mere mazi ke hawalon se pareshan na ho

dekh yun dur na ho mujh ko laga le dil se
tu meri ruh ke chhaalon se pareshan na ho

khud ko viran na kar mere liye jaan meri
in pareshan khayalon se pareshan na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close