meri wafa mera isar chhin le mujh se hai kaun jo mera kirdar chhin le mujh se ye zindagi koi sau bar chhin le mujh se magar nahin ki tera pyar chhin le mujh se ye waqt wo hai ki qadmon mein baithne wala ye chahta hai ki dastar chhin le mujh se ata ho ya to wahi dabdaba wahi jazba nahin to ye meri lalkar chhin le mujh se sawal karti hai umr-e-rawan ki hai koi jo meri tezi-e-raftar chhin le mujh se main zer-e-saya-e-diwar bhi hun khauf-zada ki wo na saya-e-diwar chhin le mujh se mera harif kam-auqat chahta hai 'waqar' mera asasa-e-afkar chhin le mujh se