dil mein chamke hue hain dagh bahut raushan is ghar mein hain charagh bahut main na roun to kya karun saqi bhar ke deta nahin ayagh bahut shab ko wada hai un ke aane ka kyon na raushan karun charagh bahut dil-e-viran ko dekh kar bole ganw hote hain be-charagh bahut ghair ko sar chadhaen wo tauba sadqe kar dale aise zan bahut dil-e-pur-dagh hi ki sair karo hai tumhaare liye ye bagh bahut mujh se milte hain jab ye kahte hain aap ko ho gaya dimagh bahut gham se pai najat marqad mein mar ke hasil hua faragh bahut naqsh-e-pa tak mila na un ka kahin chhan mara hai koh-o-ragh bahut kuchh to farmaiye janab-e-‘ranj’ aaj hain aap bagh bagh bahut