dil mera le ke ye kahte hain ki mal achchha hai minnaten khub hain aur un ka khayal achchha hai wo ayaadat ko meri aa ke ye farmate hain shukr-sad-shukr ki bimar ka haal achchha hai main ye kahta hun ki aaghaz-e-mohabbat hai kharab wo ye kahte hain ki mohabbat ka maal achchha hai sath yusuf ke tujhe misr mein gar le jate ungliyan teri taraf uthtin ye mal achchha hai teri surat se main dun kya mah-e-kaamil ko misal us se sau darja tera husn-o-jamal achchha hai dil ko duzdida nigahon se chura le jaana tum mein itna hi meri jaan kamal achchha hai wo ayaadat ke liye ghair ke ghar jate hain hum mare jate hain kambakht ka haal achchha hai tut jaane ka na kuchh ranj na kho jaane ka hum gharibon ka yahi jam-e-sifal achchha hai apni qismat mein kahan rahat-o-aram nashat 'ranj' duniya mein yahi hum ko malal achchha hai