dil mein charagh-e-shauq jalane se faeda

dil mein charagh-e-shauq jalane se faeda
daman mein apne aag lagane se faeda

fikr-e-maash se hi nikalna ho jab muhaal
dil mein kisi ki yaad basane se faeda

jo chashm-e-nam the un ko hansate to baat thi
rote hue ko aur rulane se faeda

jab haal dil ke waste nasur ban chuka
mazi ki yaad dil mein jagane se faeda

fasl-e-khizan mein ahd-e-bahaaran ka jashn khub
viran baam-o-dar ko sajaane se faeda

dil mein tumhaari yaad hi jab phul ban gai
ghunche nae kuchh aur khilane se faeda

dekha jo dagh chand mein aaya yahi khayal
is tarah dil ke dagh dikhane se faeda

mana tasawwuraat mein aae hue to ho
dil ko magar ye khwab dikhane se faeda

daman mein apne khar hain mana 'ziya' magar
har-waqt un ka sog manane se faeda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close