har samt hai tufan-e-bala soch raha hun

har samt hai tufan-e-bala soch raha hun
qismat mein hai kya apni likha soch raha hun

ye mujh ko mili kis ki saza soch raha hun
kya mujh se hui koi khata soch raha hun

kahte hain tawaqqo hi nahin mujh ko kisi se
karte hain magar phir bhi gila soch raha hun

kuchh pas-e-wafa khun ka rakhna hi padega
apna to hai ho lakh bura soch raha hun

tar-e-nafas-e-shauq mein uljha hai zamana
anjam-e-gham-e-shauq ho kya soch raha hun

lali to na thi itni kabhi shokh hina ki
kyon aaj hai ye rang-e-hina soch raha hun

sarsabz tha kal tak so jala aaj pada hai
gulshan mein chali kaisi hawa soch raha hun

karte hain wo khud qatl pas-e-marg hain rote
wallah hai ye kaisi ada soch raha hun

main soch raha hun wo mujhe bhul hi baithe
kyon main na unhen bhul saka soch raha hun

kyon mujh se khafa aap hain kyon ruthe hue hain
kya mujh se hui aisi khata soch raha hun

munh phere guzar jaenge mujh se bhi kabhi wo
pahle kabhi socha bhi na tha soch raha hun

kuchh apni tabahi ka nahin mujh ko 'ziya' gham
jati hai kidhar ab ye bala soch raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close