dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath is mein qayam bhi karen aap safar ke sath sath dard ka dil ka sham ka bazm ka mai ka jam ka rang badal badal gaya ek nazar ke sath sath khwab uda diye gae ped gira diye gae donon bhula diye gae ek khabar ke sath sath shakh se is kitab tak khak se le ke khwab tak jaega dil kahan talak us gul-e-tar ke sath sath is ko ghazal samajh ke hi sarsari dekhiye sahi ye mera haal-e-dil bhi hai arz-e-hunar ke sath sath