na main hi tanha tha na meri rahguzar tanha sharik-e-rah rahe tum magar safar tanha hisar-e-rang se bahar sabhi nikal aae ulajh ke rah gai ek meri hi nazar tanha bahut qarib hai ki tum se guftugu bhi ho dayar-e-fikr mein aate rahe agar tanha huruf hi ki tarah tutte bikharte rahe kitab padhte rahe hum jo raat bhar tanha ajib tarz-e-rihaish hai ai 'asad' us ki bahut dinon se mere sath hai magar tanha