dil mein hai kya jaaniye kis ka khayal-e-naqsh-e-pa lag gain aankhen zamin se jo misal-e-naqsh-e-pa taqat uthne ki nahin hai tan mein zoaf-e-ishq se haal apna in dinon hai hasb-e-haal-e-naqsh-e-pa safha-e-sahra mein hai khar-e-mughilan jun alif khub ai majnun teri aai hai fal-e-naqsh-e-pa yak-qalam ai gul-badan rashk-e-gul-e-qalin hai dekh farsh-e-khakistar hai tera ye nihaal-e-naqsh-e-pa dur-fishani se teri rahta hai ham-chashm-e-sadaf tha yahi ai chashm-e-tar tujh se sawal-e-naqsh-e-pa tiktiki yan tak bandhi haigi ki khal-e-mardumak ban gaya is shokh ka har wajh khal-e-naqsh-e-pa sujhta hai hath se is na-tawani ke 'nasir' rafta rafta honge ek din paemal-e-naqsh-e-pa