dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai har andhere mein diya khwab ka jal sakta hai ishq wo aag jo barson mein sulagti hai kabhi dil wo patthar jo kisi aan pighal sakta hai har nirasha hai liye hath mein aasha bandhan kaun janjal se duniya ke nikal sakta hai jis ne sajan ke liye apne nagar ko chhoda sar utha kar wo kisi shahr mein chal sakta hai mera mahbub hai wo shakhs jo chahe to 'naim' sukhi dali ko bhi gulshan mein badal sakta hai