bichhden to shahar bhar mein kisi ko pata na ho tum ko bhi kuchh malal hamein bhi gila na ho majlis ki khwab-gah jahan bhi nazar mili un ko yahi tha khauf koi dekhta na ho jin hadson ki aag se daman-e-dil jala mumkin nahin charagh-e-sukhan bhi jala na ho meri ghazal mein jaisa tarannum hai soz hai akasr hua guman ki usi ki sada na ho un se alag hua to yahi fikr hai 'naim' un ka tapak-o-mehr kahin waqia na ho