dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi hum musalman to hain shan-e-musalman na sahi rab ki rahmat ka sahaara hi hamein kafi hai aaj duniya mein koi apna nigahban na sahi tin sau terah ne ye badr mein paigham diya azm-o-iman hai to jang ka saman na sahi hum to hain aaj bhi tazin-e-gulistan mein sharik apne hathon mein nahin nazm-e-gulistan na sahi aslahon ki mere qatil ko zarurat kya hai tir-e-mizhgan hai bahut khanjar-o-paikan na sahi main ne palkon pe saja rakkhe hain ashkon ke charagh mere tute hue chhappar mein charaghan na sahi mal-o-zar pas nahin tosha-e-ulfat ke siwa koi saman to hai zist ka saman na sahi aaj ki shab kisi bhuke ki ziyafat kar de ghar mein tere nahin 'ahsan' koi mehman na sahi