hain munfarid amal se ye guftar se alag rahbar juda hain qaul se kirdar se alag honge na ghair ke sitam-azar se alag jab tak na honge hum saf-e-aghyar se alag qasr-e-khulus ho gaya mismar is tarah baithe hain log saya-e-diwar se alag tahzib ke zawal pe hairat na kijiye ye ahd-e-nau hai sabiqa adwar se alag kar lete hain ye jumbish-e-abru se guftugu hain ahl-e-ishq zahmat-e-izhaar se alag tark-e-haya ne chhin liya mah-washon ka husn be-qadr hain ye ho ke haya-dar se alag sarmaya-e-hayat mohabbat wafa khulus daulat hai apni daulat-e-zardar se alag shan-e-khudi bachae hue maslahat se dur main ji raha hun waqt ki raftar se alag 'ahsan' ko aarzu nahin nam-o-numud ki rakhta hai khud ko kucha-o-bazar se alag