dil mein khayalat-e-rangin guzarte hain jiyun boss phulon ke rangon mein rahiye wahshat ke jangal mein kab lag pareshan ho gham ke bhaaron ke sangon mein rahiye jo koi ki hai dasht wahshat ka sakin use hosh ke shahriyon se hai nafrat ye diwangi ka nipat khub aalam hai zanjir ki ja ulangon mein rahiye pindar-e-hasti sen wahmi khayalon ne kasrat ki tohmat lagae hain nahaq dar-asl mein josh-e-tufan-e-wahdat hai jiyun mauj-e-dariya umangon mein rahiye is sarw-qamat ke josh-e-mohabbat mein az-bas ki aazad sab sen hua hun manind-e-qumri badan kun laga ra kah yahu ke dam bhar malangon mein rahiye nahaq 'siraj' aah-e-hasrat ki aatish sen har dam mein sau bar jumban sabab kiya yakbar shoale pe girne ki tarhon kun malum karne patangon mein rahiye