sham aai sehn-e-jaan mein khauf ka bistar laga mujh ko apni ruh ki viraniyon se dar laga ek lamhe ki shararat thi ki har lamha mujhe aap-apni samt se aata hua patthar laga dhund si phaili hui thi aasman par dur tak mauja-e-reg-e-rawan mujh ko tera paikar laga khana-e-dil ko sajaana bhi hai ek shauq-e-fuzul kaun jhankega yahan ye aaine bahar laga jagne walon ki basti se guzar jate hain khwab bhul thi kis ki magar ilzam raaton par laga khamushi ki chaar-diwari bhi shayad gir chuki aaj jaane kya hua wo shakhs bhi be-ghar laga