dil mein khun aur aankh mein pani bahut ek thodi si pareshani bahut chup rahen to dil sarapa iztirab baat karne mein pashemani bahut dekhe-bhaale raste gham ke tamam dil ki galiyan jaani-pahchani bahut us ke jaise honge lekin wo kahan naqsh-e-awwal ek aur sani bahut hum kahan hote the khud ko dastiyab khal rahi hai ab ye arzani bahut kis tarah rakhte hum aakhir jaan aziz dil kiya karta tha man-mani bahut us se kya be-qadr-dani ka gila hum ne qadr apni kahan jaani bahut khud use 'shabnam' banate hain muhaal dekhte hain jis mein aasani bahut