dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain ye waqt hai dil ke dubne ka aur sham ke gahre sae hain ye zara zara si khushiyan bhi to lakh jatan se milti hain mat chhedo ret-gharondon ko kis mushkil se ban pae hain wo lamha dil ki aziyyat ka to guzar gaya ab sochne do kya kahna hoga un se mujhe jo pursish-e-gham ko aae hain jalti hui shamon ne aksar ehsas ki rakh ko bhadkaya qurbat mein damakte chehron ki tanhai ke dukh yaad aae hain sochon ko tar-o-taza rakkha 'shabnam' tere paiham ashkon ne hairat hai ki ahd-e-khizan mein bhi ye phul nahin kumhlae hain