dil mein koi bhanwar koi tufan bhi nahin

dil mein koi bhanwar koi tufan bhi nahin
tujh se bichhad ke ab koi arman bhi nahin

darwaza ghar ka band karo aur so raho
aane ka us ke ab koi imkan bhi nahin

sach bolne ke jurm ki tanhai hai saza
har shakhs warna shahr mein anjaan bhi nahin

milte hain hum se nit-nae chehre badal ke log
hum ye tamasha dekh ke hairan bhi nahin

kal raat mahw-e-fikr-o-sukhan tha kuchh is tarah
kab aankh lag gai ye mujhe dhyan bhi nahin

haalat ne kiye hain 'jahangir' wo sitam
apne labon pe ab koi muskan bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close