KHamosh ho gaya aaKHir pukarne wala

khamosh ho gaya aakhir pukarne wala
mila na bojh koi bhi utarne wala

hazar chehre pe pakizgi sahi us ke
magar hai khwahishen dil mein ubhaarne wala

hazar rang na badle zamin bhi kyunkar
hai aasman kai rup dhaarne wala

raha hai kargah-e-fan mein kaamyab bahut
har ek bazi zamane mein haarne wala

nahin hai koi 'jahangir' ek hamare siwa
ghamon se zindagi apni nikhaarne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close