dil mein mere har ghadi dariya-e-gham labrez hai baat jo munh se nikalti hai wo dard-amez hai zabt karta hun to badhta hai mera soz-e-darun ashk se bhi apne darta hun ki tufan-khez hai pahle in aankhon se sail-e-ashk hota tha rawan ab wufur-e-gham se meri chashm-e-tar khun-rez hai aarzu tak ho gai dil ke liye bar-e-garan na-tawani ke sabab arman bhi hasrat-khez hai hai abas saman-e-farhat gham-zada dil ke liye mere lab ko khud tabassum se bada parhez hai din gae tafrih ke jab se hua dil gham-kada kya gharaz hum ko agar duniya tarab-angez hai is zamin par kar raha hai tai masafat har-nafas wo mubarak hai qadam jis ka safar mein tez hai qalb-e-'hafiz' ta-dam-e-akhir na paega sukun jumla-saman-e-tarab-angez wahshat-khez hai