dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai par dil-e-zar ka andaz-e-fughan aur hi hai qad-e-nau-khez nahin aafat-e-jaan aur hi hai jis pe dil apna gaya hai wo jawan aur hi hai hum jahan rahte hain yaro wo jahan aur hi hai wo jagah aur hi hai aur wo makan aur hi hai shafaqi rang pe mat bhuliyo apne ai abr chashm-e-khushk aur mizha-e-ashk-fishan aur hi hai badan aaghushta-ba-khun hone pe mauquf nahin zakhmi-e-nawak-e-mizhgan ka nishan aur hi hai go ki auron ki huin surme se aankhen raushan surma-e-binish-e-sahib-nazaran aur hi hai garche rakhte hain nazakat ye sabhi mu-kamran wo nazakat hai judi aur wo miyan aur hi hai 'mushafi' garche ye sab kahte hain hum se behtar apni par rekhta-goi ki zaban aur hi hai