sitaron ke aage jo aabaadiyan hain teri zulf ki gum-shuda wadiyan hain zamana bhi kya raunaqon ki jagah hai kahin rona-dhona kahin shadiyan hain teri kakulen hi nahin sabz pariyan meri aarzuen bhi shahzadiyan hain badi shai hai wabastagi do dilon ki ye pabandiyan hi to aazadiyan hain jahan qadr hai kuchh na kuchh aadmi ki wo kya qabil-e-qadr aabaadiyan hain yakayak na dil phenkna aankh walo ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain gharibon se kya kaam aasaishon ka wo unche gharanon ki shahzadiyan hain 'adam' suraton ki chamak par na jaana ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain jahan bhi 'adam' koi dilbar makin hai wahan kitni gunjaan aabaadiyan hain