dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti khairaat mein itni badi daulat nahin milti kuchh log yunhi shahr mein hum se bhi khafa hain har ek se apni bhi tabiat nahin milti dekha hai jise main ne koi aur tha shayad wo kaun tha jis se teri surat nahin milti hanste hue chehron se hai bazar ki zinat rone ki yahan waise bhi fursat nahin milti nikla karo ye shama liye ghar se bhi bahar kamre mein sajaane ko musibat nahin milti