odhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah tarikiyon mein dub gae raat ki tarah shewa nahin ki shola-e-gham se karen gurez har zakhm hai qubul nai baat ki tarah nind aa rahi hai karb ki aaghosh mein mujhe sine pe dast-e-gham hai tere hat ki tarah main apne aap se kabhi bahar na aa saka uljha raha hun khud main khayalat ki tarah hairan hun ki khud ko bhi pahchanta nahin jazbe badal rahe hain rusumat ki tarah wo daud hai ki apni hawa bhi na chhu sakun udti hai meri fikr bhi lamhat ki tarah kya gul khilae meri udasi ki lahr ne zehnon ke reg-zar mein barsat ki tarah kya bastiyon ka zikr ki ehsas ki tapish jangal jala gai mere jazbaat ki tarah kya khub aashna hain ki pahchante nahin jab bhi mile to pahli mulaqat ki tarah duniya ka dard apne dukhon mein samet kar mahsus kar raha hun gham-e-zat ki tarah ahbab kis khulus se 'zulfi' meri ghazal rakhte hain dil ke taq mein saughat ki tarah