dil mein rahta tha mere jo kabhi dhaDkan ki tarah

dil mein rahta tha mere jo kabhi dhadkan ki tarah
ab meri aankh mein rahta hai wo sawan ki tarah

kaun aaya hai bahaaren liye meri jaanib
mera ehsas mahakne laga chandan ki tarah

kisi bachche ki tarah ab bhi machalta hai dil
haal apna hai jawani mein bhi bachpan ki tarah

main ne rakkha na kabhi bughz-o-kudurat dil mein
dil mera saf hai shaffaf hai darpan ki tarah

zehn mein phaili hai afkar ke phulon ki mahak
hai mera dil ye mahakte hue gulshan ki tarah

dil ke darwaze ko hargiz na muqaffal kije
is ko wa rakhiye hamesha kisi aangan ki tarah

apne bandon se use pyar hai kitna 'rahat'
dil mein rahta hai mere apne hi maskan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close