raat to shauq se sunti hai kahani meri

raat to shauq se sunti hai kahani meri
din kahan sunta hai aashufta-bayani meri

dil to kahta hai ki main karti rahun sair-e-jahan
roz hoti hi rahe naql-e-makani meri

ab to khair aur bhi hain chahne wale lekin
man ki ulfat hai magar sab se purani meri

laj rakkhi hai duaon ki mere malik ne
us ne jab dekhi hai ashkon ki rawani meri

manawi bhi hai haqiqi bhi hai meri aulad
baqi rah jaegi duniya mein nishani meri

ashk-e-gham pite hue main ne guzarin raaten
is bulandi pe hai ab tishna-dahani meri

itna masruf rakha hai mere malik ne mujhe
main sunaun to bhala kaise kahani meri

usi college ki fazaon ne bulaya hai mujhe
jis mein padhte hue guzri hai jawani meri

git us ke hi sunata hai sada wo 'rahat'
dil ne mere to kabhi baat na mani meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close