dil mein shafqat na rahe aankh ka pani na rahe ahd mein tere koi chiz purani na rahe rasm-e-hijrat ko ba-andaz-e-digar zinda rakh itne viran hon magar shauq-e-makani na rahe silsila band ho yaron ki mulaqaton ka subh rangin na rahe sham suhani na rahe ho sake lauh-e-dil-o-jaan se mita us ke nuqush jaane wale ki yahan koi nishani na rahe tu nadi nale ko har taur baham rakh pani wo to chahega ki dariya mein rawani na rahe baat jo dil mein hai khul kar use kah de 'shahin' kya khabar kal ko ye aashufta-bayani na rahe