dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi kya chiz hain ye soz-e-mohabbat ke dagh bhi tuta tha ek jam-e-sifali na jaane kyun rindon ne tod dale munaqqash ayagh bhi tadbir-e-chaara-sazi-e-dil sochne ke baad rahta hai bad-guman mere dil se dimagh bhi hum wo nahin jo maut ke pardon mein kho gae hum ne to zindagi ka lagaya suragh bhi hum ne to raaz-e-ishq chhupaya magar 'farid' chaaragaron ne dhundh liye dil ke dagh bhi