dil mein taswir teri aankh mein aasar tere zakhm hathon mein liye phirte hain bimar tere ai shab-e-ranj-o-alam dekh zara rahm to kar aah kis karb mein rahte hain azadar tere zoam hai tujh ko agar apne qabile pe to sun mere qadmon mein gire the kabhi sardar tere aaj bazar mein lai gai jab teri shabih bhagte daudte aa pahunche kharidar tere samne kyun teri ismat pe uthi hai ungli kyon ye charche hain musalsal pas-e-diwar tere in ke dukh-dard ka tujh se bhi mudawa na hua apni haalat pe jo hanste rahe fankar tere mujh se phir chhutte hue abr-e-alam ne ye kaha aaj ki sham palat aaenge gham-khwar tere jaane kya rang 'rabab' ab unhen degi duniya kis qadar dard se labrez hain ashaar tere