kab gawara thi zamane ki koi baat mujhe wo to le aai yahan gardish-e-haalat mujhe rok sakti hun use roz-e-qayamat tak bhi sang tere jo mile pyar ki ek raat mujhe aakhiri gam talak jit hi samjhi main ne badi tadbir se lai hai meri mat mujhe log jis kar-e-aziyyat mein mare jate hain zinda rakhte hain wahi hijr ke lamhat mujhe tum se milne ke liye roz padha karti thi ab bichhad ne hi nahin detin ye aayat mujhe lafz honton se nikalte hue mar jate hain us se aati hi nahin karni shikayat mujhe